Skip to content
Coming SoonVerified 20 Oct 2026

72nd BPSC Prelims Admit Card 2026 - 25 October Wala Exam Sthagit, Nayi Tareekh Aur Card Abhi Nahi Aaye

ABy Abhishek
8 min read
Updated: 20 October 2026
⏰ Exam: Nayi tareekh baad me (25 October wala exam 12.10.2026 ko sthagit)🏢 BPSC

⚡ 30-SECOND SUMMARY

72nd BPSC prelims 26 July ko tal gaya tha, aur ab BPSC ke exam calendar me 25 October 2026 (sambhavit) darj hai. Admit card abhi release nahi hua - wo exam se pehle bpsconline.bihar.gov.in login me aayega. 3 September ke shuddhi-patra ke baad kul pad 1,187.
🎓 Overview & Eligibility▾

Exam Name

Integrated 72nd BPSC CCE Prelims

Organization

BPSC

Qualification

Check official notification

Status

Coming Soon

Important Dates

Notification (72nd CCE)

2026-05-05

Admit Card Release

BPSC ne abhi tareekh nahi di

Prelims (26 July) - Sthagit

2026-07-26

Prelims (25 October) - Sthagit (soochna 12.10.2026)

2026-10-25

Prelims ki nayi tareekh

BPSC baad me batayega

Application Fee

Check official notification

⬇️ Admit Card Kaise Download Karein (5 steps)▾

How to Download Admit Card

  1. 1bpsconline.bihar.gov.in/candidate/login kholo (OTR login)
  2. 2Username/Registration No + Password se login karo
  3. 3Dashboard > Admit Card section me 72nd CCE Prelims dhundho
  4. 4Admit card download karo - roll number + centre address check karo
  5. 52 print nikalo + photo ID ready rakho

Required Documents

Admit Card
Photo ID
Passport Photos
📄 Complete Details▾

72nd BPSC Prelims Admit Card 2026 - 25 October Wala Exam Bhi Sthagit

72nd BPSC ka form bhara tha? Seedhi baat: 25 October 2026 wala prelims bhi sthagit ho gaya hai - BPSC ne 12 October ko notice jaari kiya, aur nayi tareekh "baad me" batayi jaayegi. Isliye admit card abhi nahi aayega.

STATUS (13 October 2026) - 25 October wala prelims STHAGIT: BPSC ki site par Pariksha Niyantrak ka notice (hastakshar 12.10.2026) aa gaya hai: "एकीकृत 72वीं संयुक्त (प्रारंभिक) प्रतियोगिता परीक्षा दिनांक 25 अक्टूबर, 2026 (रविवार) को आयोजित होनी थी। उक्त परीक्षा अपरिहार्य कारण से स्थगित की जाती है। परीक्षा आयोजन की नई तिथि की सूचना बाद में दी जाएगी।" Humne notice PDF 13 October ko khud padha.

  • Ye sthagit hai, radd nahi - kai channel "radd" likh rahe hain, notice me ye shabd nahi hai. Aapka form aur candidature waise hi bane rahenge; notice me naye form ki koi baat nahi.
  • Ye doosri baar hai: 26 July wala prelims bhi isi bhasha me 18 July ke notice se tala tha.
  • Karan sirf "aparihaarya kaaran" likha hai. Nayi tareekh ka koi andaza notice me nahi - "nayi date XX" wali koi bhi post afwah hai.
  • 7 October se jo notice social media par ghoom raha tha, wo 11 October tak BPSC site par nahi tha; ab 12 October wala official notice aa gaya hai.

STATUS (13 September 2026) - do nayi baatein: (1) BPSC ke exam calendar me 72nd CCE ka prelims ab 25 October 2026 ko darj hai. Ye calendar 14 August 2026 ka hai aur uske upar khud likha hai "All dates are tentative" - yaani ye sambhavit tareekh hai, pakka admit card isi ke hisaab se aayega. (2) 3 September 2026 ke shuddhi-patra me Bihar Police Seva ne Police Upadhikshak (DSP) ke pad 22 se ghata kar 20 kar diye - UR 10, EWS 2, SC 1, ST 1, EBC 5, BC 1 (inme 6 mahilaon ke liye). BPSC ke apne shabdon me "अब एकीकृत 72वीं संयुक्त (प्रारम्भिक) प्रतियोगिता परीक्षा के अन्तर्गत रिक्तियों की कुल संख्या-1187 है". Shuddhi-patra PDF.

Quick Info

Detail Information
Exam Integrated 72nd BPSC CCE (Prelims)
Posts 1,187 (3 September 2026 ke shuddhi-patra ke baad)
Exam Date 26 July 25 October - dono sthagit; nayi tareekh BPSC baad me batayega (notice 12.10.2026)
Shift Single: 12:00 - 2:00 PM
Admit Card Abhi release nahi hua
Download bpsconline.bihar.gov.in OTR login se
Pattern 150 Q GS, 2 hours, negative 1/3 (BPSC standard)

Admit Card Kab Aayega (Honest Status)

13 OCTOBER STATUS: 25 October wala prelims 12 October ke notice se sthagit. Admit card nayi tareekh aane ke baad hi aayega - BPSC ka pattern exam se 7-10 din pehle card dene ka hai.

11 OCTOBER STATUS (purana): Calendar me 25 October (sambhavit) darj tha; admit card aur exam programme nahi aaye the.

30 JULY STATUS (purana): Exam postpone hone ke 12 din baad bhi nayi date announce nahi hui. BPSC ki site pe sabse naya 72nd-related notice wahi 20 July ka "Regarding Postponement of 72nd CCE (Preliminary)" hai. Jab tak naya notice na aaye, admit card ka sawaal hi nahi uthta.

26 July - jis din exam hona tha: Aaj hi 72nd Prelims hona tha, par exam postponed hai aur nayi date abhi tak announce NAHI hui. BPSC ki website pe aaj bhi sabse naya 72nd-related notice wahi "Regarding Postponement of 72nd CCE (Preliminary)" - dinank 20 July 2026 hai. Matlab: aaj ghar par ho to sahi ho, kisi centre pe mat jaana; aur "nayi date aa gayi" wali koi bhi post abhi afwah hai.

Postponement ka sach (do dates, dono sahi): Pehle 18 July shaam ko BPSC ke official X handle se announcement aayi (Prabhat Khabar/Amar Ujala ne cover kiya), aur uske baad 20 July ko commission ki website pe formal notice aaya - isliye kahin 18 to kahin 20 July likha milta hai. 33rd Judicial Services prelims bhi alag se postponed hai (Supreme Court order) - dono khabrein mix mat karo. Nayi date ke liye SIRF bpsc.bihar.gov.in maano - "nayi date XX August" wali koi bhi post abhi afwah hai.

  • 30 July tak koi admit-card notice NAHI - aur aana bhi nahi chahiye, kyunki exam hi postponed hai
  • BPSC ka pattern: exam se 7-10 din pehle card aata hai - matlab nayi date announce hone ke baad card aayega, us se pehle nahi
  • "Card aa gaya" ya "nayi date XX August" wali koi bhi post abhi afwah hai
  • Card aate hi yahan link + download steps update honge - roz check karo ya WhatsApp community join karo

Download Kaise Hoga (Card Aane Pe)

  1. bpsconline.bihar.gov.in/candidate/login - OTR username/registration number + password
  2. Dashboard me Admit Card > 72nd CCE Prelims
  3. Download + 2 print - roll number, centre address, reporting time check karo
  4. Password bhool gaye to login page ke Forgot Password se abhi reset kar lo - card wale din server slow hoga

Exam Day Rules (BPSC Standard)

  • Reporting exam se 1-1.5 ghanta pehle - gate closing time admit card pe hoga (BPSC late entry bilkul nahi deta)
  • Admit card print + original photo ID (Aadhaar best)
  • Mobile, smartwatch, calculator, Bluetooth - banned; blue/black ballpoint le jao
  • Negative marking 1/3 - blind guess mat karna
  • E-option rule yaad rakho: BPSC ke naye pattern me 5th option "E" (not attempted) bharna hota hai - blank chhodne pe bhi penalty ho sakti hai, instructions dhyan se padho

Aakhri 10 Din Ki Strategy

  • Revision only - naya topic ab nahi; Bihar-special GK (economy survey, current schemes) ek pass
  • Current affairs: Jan-July 2026 compilation ek baar
  • 1 full mock timing ke saath (12-2 PM slot me hi practice karo - body clock set)
  • 71st ke paper se difficulty calibrate karo

Scam Warning

"Admit card pehle dilwa denge" / "paper milega" - 100% FRAUD. Card sirf OTR login se aayega, sabko ek saath. WhatsApp pe aaya "admit card PDF" ya "leaked paper" - dono fake + report karo: cybercrime.gov.in | 1930

Sources & References

  • bpsc.bihar.gov.in - 72nd CCE notification (5 May) + Sugarcane Officer corrigendum (6 May, official PDF)
  • Exam date 26 July (12-2 PM) - BPSC notification-based, multiple sources consistent

Last Verified: 19 July 2026 (admit card NOT out; ab kabhi bhi expected)

FAQs

Q: 72nd BPSC Prelims kab hai?

A: Abhi koi tareekh nahi. 26 July wala exam sthagit hua tha, aur calendar wala 25 October bhi BPSC ne 12 October 2026 ke notice se sthagit kar diya. Nayi tareekh BPSC baad me batayega.

Q: Kya 72nd BPSC prelims radd ho gaya?

A: Nahi, sthagit hua hai. 12 October ke notice me "sthagit" likha hai, "radd" nahi; form bharne walon ki candidature bani rahegi.

Q: Admit card kab aayega?

A: Abhi nahi (13 October 2026). Pehle nayi exam tareekh ka notice aayega, phir admit card bpsconline.bihar.gov.in login me.

Q: Download kahan se hoga?

A: bpsconline.bihar.gov.in pe OTR login (registration number + password) se - wahi jahan form bhara tha.

Q: 72nd BPSC me kitne posts hain?

A: 1,187 - 3 September 2026 ke shuddhi-patra me DSP ke pad 22 se 20 hue, jiske baad BPSC ne kul sankhya 1,187 batayi.

Q: Exam pattern kya hai?

A: BPSC standard: 150 questions GS, 2 ghante, negative 1/3 - saath me naya E-option (not attempted) rule.

Q: Centre kaise pata chalega?

A: Admit card pe centre address hoga - card aane ke baad turant dekho, door ka centre ho to travel plan pehle bana lo.

Q: Password bhool gaya to?

A: bpsconline login page pe Forgot Password se abhi reset karo - card release wale din server pe bheed hogi.

BADI KHABAR (18 July shaam): BPSC ne 72nd Prelims (26 July) POSTPONE kar diya - official announcement commission ke X (Twitter) handle se aayi, karan sirf "aparihaarya karan" (unavoidable reasons) bataya gaya. Nayi date announce NAHI hui - naya schedule bpsc.bihar.gov.in pe aayega. Matlab: admit card ab release nahi hoga - wo nayi date ke saath aayega. Ek honest note: kal tak "postponed" wali posts afwah THIN (koi official notice nahi tha) - 18 July shaam ko ye OFFICIAL ho gaya, isliye humne page turant palta. ~5.15 lakh candidates (record) is exam ka intezaar kar rahe hain - aage kya hoga, neeche.

Ye Bhi Zaroor Padhein


Source: bpsc.bihar.gov.in (notification 5 May + corrigendum 6 May official; exam 26 July 12-2 PM multi-source consistent). Admit card status live-checked 16 July 2026.

Source update: 13 September 2026 ko BPSC ka shuddhi-patra (03.09.2026, "रिक्तियों की कुल संख्या-1187") aur exam calendar (14-08-2026, "All dates are tentative", 72nd CCE prelims 25-10-2026) khud padha.

Source update 11 October 2026: bpsc.bihar.gov.in ki upload suchi khud dekhi - 29 September 2026 ke baad koi upload nahi, 72nd ka koi naya notice nahi; calendar (14-08-2026) me ab bhi 25-10-2026.

Bhai, ab lagbhag ek mahina hai - revision aur mock pe raho. Card aate hi yahan link lagega.

Warning: Sirf .gov.in/.nic.in se download karein. Kisi ko paisa mat dein. Scam Database

Is Page ka Author

A

Abhishek - SkillUP Bihar

Exam Updates Researcher

Content Writer. Official govt sources se verified content likhta hai. Bihar sarkari naukri focus. Har page kam-se-kam 2 official sources se cross-verified.

Bihar Government JobsCentral Government ExamsGovernment Schemes
M

Verified by Md Saiyad Ali