Skip to content
ExpiredVerified 17 Oct 2026

RRB Technician Admit Card 2026 (CEN 02/2026) - CBT 6 Se 9 October, Aur March Wala Exam Ek Alag Purani Bharti Tha

ABy Abhishek
7 min read
Updated: 17 October 2026
⏰ Exam: 9 Oct 2026🏢 RRB

⚡ 30-SECOND SUMMARY

RRB ne 10 September 2026 ko CEN 02/2026 Technician Grade 1 aur Grade 3 ki CBT ki sambhavit tareekh di - 6 se 9 October 2026. Exam city link lagbhag 10 din pehle aur e-call letter 4 din pehle aayega. Dhyan rahe: March 2026 me jo Technician CBT hua tha, wo purani bharti CEN 02/2025 ka tha.
🎓 Overview & Eligibility▾

Exam Name

RRB Technician Grade 1 Signal aur Grade 3 CBT (CEN 02/2026)

Organization

Railway Recruitment Board (RRB)

Qualification

Check official notification

Status

Expired

Important Dates

CBT tareekh ki soochna

10 September 2026

Exam City Intimation (RRB Patna ki suchi me)

27 September 2026

E-Call Letter (sambhavit)

Exam se lagbhag 4 din pehle

CBT (sambhavit)

6 se 9 October 2026

Application Fee

Check official notification

⬇️ Admit Card Kaise Download Karein (5 steps)▾

How to Download Admit Card

  1. 1Jis RRB ke liye form bhara tha, uski site kholein (Bihar walon ke liye aam taur par Patna ya Muzaffarpur)
  2. 2CEN 02/2026 ke hisse me Exam City and Date Intimation link dekhein - exam se lagbhag 10 din pehle
  3. 3Registration number aur janm tithi se login karein; SC/ST Travel Authority bhi yahin se
  4. 4Exam se lagbhag 4 din pehle E-Call Letter download karein
  5. 5Mool Aadhaar ya e-verified Aadhaar ka print lekar centre jaayein

Required Documents

Admit Card
Photo ID
Passport Photos
📄 Complete Details▾

17 October 2026 - answer key aa gayi: RRB ne 15.10.2026 ke notice se CEN 02/2026 Technician Grade-III aur Grade-I Signal ki answer key, response aur prashn 15 October shaam 4 baje se khol diye - aapatti 22 October 2026 raat 11:55 tak, Rs 50 prati prashn. 16.10.2026 ke corrigendum se Grade-III ke pad 6,234 se 7,002 hue. Poora byora yahan.

12 October 2026 update: is page par di gayi CBT ki tareekh 6 se 9 October 2026 nikal chuki hai, isliye admit card ka charan khatam. 12 October ko RRB ki site hamare yahan se nahi khuli - answer key ya pariksha se judi koi nayi soochna apne RRB ki site par dekhiye.

RRB Technician Admit Card 2026 - Ek Nazar Me

Sawal Jawab
Bharti RRB Technician Grade 1 Signal aur Grade 3, CEN 02/2026
CBT kab 6 October 2026 se 9 October 2026 (sambhavit)
Soochna 10 September 2026
Exam city link 27 September 2026 ko aaya (RRB Patna ki site par CEN 02/2026 "City Intimation (Exam)")
E-call letter exam se lagbhag 4 din pehle
Entry par Aadhaar se biometric

Update (5 October 2026): RRB Patna, Muzaffarpur aur Chandigarh ki CEN-war list me 5 October tak CEN 02/2026 ka "E-Call Letters" wala alag entry nahi dikha. RRB ke 27.09.2026 ke notice ka niyam: "Downloading of E-Call letters will start 4 days(Tentatively) prior to exam dates" - pariksha 06, 07, 08 aur 09.10.2026. Isliye apne city-slip wale login par hi dekhiye: Technicians (27.09) | Technician Gr I (02.10). Helpdesk 9513166371 (Somvar-Shanivar, 9 se 6). Sikar badlaav (04.10.2026): Grade III ke 06-07 October wale ek kendra ko "Gharib Nawaz College of Nursing, Sikar" le jaaya gaya; "There is no change in scheduling of other Candidates."

Update (2 October 2026): RRB Patna ki site par 2 October 2026 ko CEN 02/2026 ke liye "Technician Gr I" ki city intimation ka alag link bhi aaya. 27 September wala link "Technicians" ke naam se tha - Grade 1 Signal walon ka city slip nahi khula tha to ab dobara login karke dekhiye.

Update (30 September 2026): CEN 02/2026 ki exam city intimation 27 September ko RRB Patna ki site par aa gayi, saath me mock test link bhi. SC/ST abhyarthi Travel Authority isi link se lein. E-call letter apni tareekh se lagbhag 4 din pehle.

RRB Technician CEN 02/2026 ki CBT 6 se 9 October 2026 tak hogi - Railway Recruitment Boards ne 10 September 2026 ko sambhavit karyakram jaari kiya.

Bhaiyon, admit card dhoondhne se pehle ek cheez pakki kar lijiye ki aap kaun si bharti ka admit card dhoondh rahe hain. Internet par do alag Technician bharti ki khabrein mili-juli padi hain.

RRB Technician - Do Alag Bharti, Do Alag Exam

Purani bharti Nayi bharti (ye page)
CEN 02/2025 02/2026
Pad 6,238 6,557 (Grade 1 Signal 323 + Grade 3 6,234)
Form 2025 me 30 June se 29 July 2026
CBT March 2026 - ho chuka 6 se 9 October 2026 (sambhavit)
Aage result ki jaankari admit card ka intezaar

Agar aapne form June-July 2026 me bhara tha, to aapka exam October wala hai. March 2026 wale admit card ya uske "download" link aapke kaam ke nahi.

RRB Technician Admit Card 2026 Kab Aayega

Soochna ke hisaab se do charan hain:

  1. Exam City aur Date Intimation - exam se lagbhag 10 din pehle, sabhi RRB ki site par. SC/ST abhyarthi isi link se Travel Authority bhi download karenge.
  2. E-Call Letter - city slip me likhi aapki tareekh se lagbhag 4 din pehle.

City slip aa gayi: RRB Patna ki site par CEN 02/2026 ke liye "City Intimation (Exam)" 27 September 2026 ko, aur usi din Mock Test Link bhi laga. Apni tareekh aur shahar isi se dekhiye; e-call letter aapki tareekh se lagbhag 4 din pehle aayega.

Chaar din ki window hai - aapki exam 6, 7, 8 ya 9 October me se kaun se din hai, ye city slip batayegi. Sabka call letter ek hi din nahi aayega.

CBT Se Pehle Aadhaar Ka Kaam Abhi Nipta Lijiye

Centre par ghusne se pehle Aadhaar se biometric pehchan hogi. RRB ki soochna teen baatein kehti hai:

  • rrbapply.gov.in par login karke Aadhaar verification abhi kar lijiye, agar form ke waqt nahi kiya tha
  • Verification ho chuka ho tab bhi exam se pehle UIDAI me Aadhaar unlock rahe
  • Aadhaar par 10th certificate wali janm tithi, sahi naam, taaza photo aur (15 saal ke baad ka) biometric update ho

Exam ke din mool Aadhaar card ya e-verified Aadhaar ka print saath rakhiye.

Grade 1 Signal Aur Grade 3 - Dono Ki CBT Isi Window Me

Notice me post ka naam "TECHNICIAN Gr. I & TECHNICIAN Gr. III" ek saath hai - yaani dono grade ki CBT 6 se 9 October ki isi khidki me hai. Alag se koi doosri tareekh nahi di gayi.

Grade Pad Yogyata (hamare recruitment page ke hisaab se)
Grade 1 Signal 323 Engineering degree/diploma ya B.Sc
Grade 3 6,234 10th + ITI

Yogyata aur pattern ka poora vivran RRB Technician recruitment 2026 page par hai.

Scam Warning

"RRB Technician admit card 2026 download - direct link" - CEN 02/2026 ka call letter abhi jaari nahi hua. March wala link purani bharti ka hai.

"Centre badalwa denge" - centre RRB tay karta hai. Notice khud dalalon se bachne ko kehta hai.

Shikayat: cybercrime.gov.in | 1930

FAQs

Q: RRB Technician admit card 2026 kab aayega? A: CEN 02/2026 ka e-call letter exam se lagbhag 4 din pehle; city slip lagbhag 10 din pehle.

Q: RRB Technician exam date 2026 kya hai? A: 6 October se 9 October 2026 (sambhavit), CEN 02/2026 Grade 1 aur Grade 3 dono ke liye.

Q: March 2026 wala RRB Technician exam kaun sa tha? A: Wo purani bharti CEN 02/2025 (6,238 pad) ka tha. Nayi bharti CEN 02/2026 ki CBT October me hai.

Q: Grade 1 aur Grade 3 ka exam alag din hai? A: Notice dono ko ek hi window (6-9 October) me rakhta hai. Aapka din city slip batayegi.

Q: RRB Technician city slip kab aayegi? A: Aa chuki hai - "Technicians" ka link 27 September ko aur "Technician Gr I" ka alag link 2 October 2026 ko RRB Patna ki site par.

Q: Exam me kya lekar jaana hai? A: E-call letter aur mool Aadhaar ya e-verified Aadhaar ka print.

Q: SC/ST ka travel pass kahan milega? A: Exam city link ke saath Travel Authority.

Q: CEN 02/2026 me kitne pad hain? A: 6,557 - Grade 1 Signal 323 aur Grade 3 6,234.

Zaroori Links

Ye Bhi Zaroor Padhein

Source: Railway Recruitment Boards ki soochna "NOTICE REGARDING TENTATIVE SCHEDULE OF COMPUTER BASED TEST (CBT) FOR THE POSTs OF TECHNICIANS AGAINST CEN NO.02/2026", dinank 10.09.2026, jo humne 13 September 2026 ko rrb.indianrailways.gov.in se khud download karke padhi. Usme: "CEN 02/2026 TECHNICIAN Gr. I & TECHNICIAN Gr. III - 06th October 2026 to 09th October 2026"; city/date link aur SC/ST Travel Authority "10 days (Tentatively) prior"; e-call letter "4 days (Tentatively) prior"; Aadhaar biometric, rrbapply.gov.in par verification, UIDAI me unlocked. Pad sankhya aur form ki tareekhein hamare RRB Technician CEN 02/2026 recruitment page se hain; purani bharti CEN 02/2025 (6,238 pad, March 2026 CBT) ki jaankari is page ke pichhle version se. 26-27 September hamara jod hai.

Pichhla version (March 2026) CEN 02/2025 ke admit card par tha; 13 September 2026 ko ise nayi bharti CEN 02/2026 par badla gaya.

Warning: Sirf .gov.in/.nic.in se download karein. Kisi ko paisa mat dein. Scam Database

Is Page ka Author

A

Abhishek - SkillUP Bihar

Exam Updates Researcher

Content Writer. Official govt sources se verified content likhta hai. Bihar sarkari naukri focus. Har page kam-se-kam 2 official sources se cross-verified.

Bihar Government JobsCentral Government ExamsGovernment Schemes
M

Verified by Md Saiyad Ali